DUA-GO FARHAT ABBAS SHAH
Unique Idea of SAAZ;
SAAZ ki shairi (poetry) ki sab sy bari (big) khususiyat (peculiarity) in k nay nay khayalon (ideas) ko nay nay tariqon sy biyan karna hy. Adaygi k iste-araat, Tashbihat (smilies), mahakat (account of loving) or Alfaz main jid-dat or khayalat falsafy or shaour main naya pan SAAZ ki Khususiyaat (peculiarity) hain.
Analysis;
Inki tarakibain baaz oqat aysy wasih khayal (big idea) ka chand lafzon main ahata kar lay-ti hain jinhain aam tor per bayan kiya jay to kaii jumlon (sentence) main b ada na ho.
SAAZ ki Tashbihat (smiles) main husun-kari, maaini-Afarni or ikhtesar tino (3) milty hain, Rangini k sath in k han Mir or Ghalib ki si sadgi b nazar ati hy.
NAFSIYATI GHERAII;
SAAZ insani nafsiyat sy waqif nazar aty hain, ye waqfiyat mehz nazri nahi bal- k intehaii gheri maloom hoti hy. SAAZ zindagi k boht bary nabaaz (biggest doctor) hain.
Hayat-o-Kainaat k aksar haqaiq SAAZ k han ehsaaso-jazbaat k roop main dhal gay hain.
FIKER-O-FALSAFA;
Saaz k han ashaaar main Falsafiyana akhbar ko bari (big) khubsurti k sath bayan kiya gaya hy. URDU shairi (poetry) main tasaruf to pehly hi sy mojood tha lekin SAAZ ne tafakur k ansar ko b shairi main shamil kar diya. Is k bawajood wo na falsafi shair (poet) hain na SOFI shair. Inka sara falsafa or tasaruf inki apni fikri-o-zehni kawish ka natija hy.
WIT & NAUGHTYNESS;
Saaz KI Shairi (poetry) main tanz-o-mazah or shokhi kalam mojood hy inhon ne na sirf apni zaat bal- k kisi ko b tanz-o-tan ka nishana banane sy nahi chora, dar-asal zarafat (wit) SAAZ ki fitrat hi main wadiyat (trust) hy.
Inhon ne Mehboob, Ashiq, Raqeeb, Zindagi, Rasoom, Aqaaid etc. ka mazaq uraya hy,
Lekin ye zarafat (wit) isqadar sanbhli hoi kafiyat main hy k kahin b jhool nahi milta.
LOVE & PASSION;
SAAZ k han agar-che ziyada sozo-gadaz nahi milta, lekin in main Ishq-o-muhabbat ki purani (old) riwayaton sy bagawat atam mojood hy. In sy pehly k shair (poets) apny Mehboob sy Mohabbat ki bheek mangte nazar aty hain,lekin SAAZ ishq ko Mashooq k liye b zarori Qarar de kar apni gherat, himiyat or Mardangi zahir karty hain is k bawajood in k han Ishq-o-Muhabbat ki nairang-giyan b milti hain.
Husun-o-Ishq k mamlaat ko jis khubsurti k sath in hon ne pesh kiya hy ab-tak youn koi pesh na kar saka.
Thanks Farhat