Pesh-e-Lafz
     Poetry of SAAZ
     Ashaaar
     ik Oska Gham
     ik Teri Khushi
     Articals of SAAZ
     Peopels Comments
     => Ijaz Rizvi (poet)
     => Tanweer Fatima (Poet)
     => Faraz Shah
     => Shahzad (the Analyst)
     About Poetry & Love
     Other Poetry
     Yaadon ki Roshni Main
     Nafsiyati Uljhanain
     Pic Gallery
     Join US
     Tib & Tips
     Contact
     §λλž ώφяļδ Mắρ
     Guestbook




The Poet of Love SAAZ thepoet - Ijaz Rizvi (poet)


Ijaz Rizvi

Syed Ali Abbas Zaidi nojawan nasal k ubharty hoy Shair (poet) apni khubsurat shairi ki waja sy boht jald logon k dilon main ghar kar gay hain.
Abhi kam-umri hi main itni achi shairi karty hain or INSHA ALLAH umeed karty hain k agay b hamy isi tarha apni shairi sy mehzoz karin gy.
In k andar mojood jazbati hijan (excitement) ka suragh milta hy, Shairi k aghaz main har shair (poet) isi tarha k wafoor sy dochar hota hy, SAAZ ki poetry sirf jazbat per hi etemad nahi karti, jazbati sorat-e-haal sy paida shuda rawaii-ye sy apni tashkeel karti hy, isi liye ham keh sakty hain k SAAZ ki poetry farogh pany ki salahiyat hy.
Is etebar sy nay Shora (poets) main SAAZ ka ik alag IMTIAZ hy k is ne kam sy kam Ghazal likhi hy or apny jazbati izhar ko aik aysy sheri paikar main muntaqil kiya hy jo maiine ko kushadgi ki tarf lejata hy.
SAAZ aam rosh sy hat kar chalne wala Shair (poet) hy natija ye hy k Reader ko nay nay rangon, nay nay pholon, naii naii khusboun ka tajarba hasil hota hy, or aysy aysy manazir uski nazar sy guzarty hain jo youn to us k aas pass bikhry pary hoty hain magar ajnabi sy lagty hain k SAAZ ne pehli dafa qari (reader) ko mutar-raf karaya hy.
Yahi waja hy k kam umri main inki shairi (poetry) main dard ki tis-e-rawan rehti hain, or dard k asbab ko khatam karne ka jazba paida karne k liye dard ka ehsaas paida karna SAAZ k han IBDAT ka darja rakhta hy.

Thanks Ijaz

 
Today, there have been 24 visitors (91 hits) on this page!

ہم فلم اور ڈرامو کی مکمّل کہانی اور خلاصہ لکھتے اور بیچتے ہیں، ضرورت پڑنے پر ہماری خدمات سے استفادہ حاصل کریں شکریہ ساز We sum up the whole story of the film and play writing and sell when necessary to get benefit from our services Thanks & Regards §λλž thepoet This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free