Tanweer Fatima
SAAZ ki shairi (poetry) apne andar bohat sy rang or mukhtalif andaaz liye hoy hy. Soch k rukh khubsurat ashar main dhal kar zindagi k bohat sy jazbon ki janib dar khulte chaly jaty hain, Inki shairi (poetry) aik anokha achota ehsaas paida karti hy kisi soy wajood ko chandni ka anchal narmi sy chu kar guzar jay jaysy sham ko behti aik pursakoon nadi main kisi ki yaad ka kanwal (lotus flower) door tak teerta chala jay, or kabhi kabhi bil-kulaysy jaysy Gulabi naam zindagi sy bhar-poor dhoop ufaq k kinaron main hamesha k liye simt jay or udas raat zindagi ki akhri raat ban kar cha jay.
Thanks Tanweer